be-vafāoñ ko vafāoñ kā ḳhudā ham ne kahā
kyā hameñ kahnā thā ai dil aur kyā ham ne kahā
lab ko ġhuncha zulf ko kālī-ghaTā ham ne kahā
dil ne ham ko jo bhī kahne ko kahā ham ne kahā
kis qadar majbūr hoñge us ghaḌī ham ai ḳhudā
jab tire be-faiz bandoñ ko ḳhudā ham ne kahā
daad denā tum hamārī chashm-poshī kī hameñ
raah meñ jo gum the un ko rahnumā ham ne kahā
jab marīz-e-ishq ko koī davā aa.ī na raas
dard hī ko dard kī āḳhir davā ham ne kahā
gir gayā apnī nigāhoñ meñ hī apnā sab vaqār
jab sar-e-bāzār khoTe ko kharā ham ne kahā