Rajendra Nath Rahbar

aaina samne rakhoge to yaad aaunga

Rajendra Nath Rahbar

1931
aa.ina sāmne rakhoge to yaad ā.ūñgā
apnī zulfoñ ko sañvāroge to yaad ā.ūñgā
rañg kaisā ho ye sochoge to yaad ā.ūñgā
jab nayā suiT ḳharīdoge to yaad ā.ūñgā
bhuul jaanā mujhe āsān nahīñ hai itnā
jab mujhe bhūlnā chāhoge to yaad ā.ūñgā
dhyān jā.egā bahar-hāl mirī hī jānib
tum jo puujā meñ bhī baiThoge to yaad ā.ūñgā
ek din bhīge the barsāt meñ ham tum donoñ
ab jo barsāt meñ bhīgoge to yaad ā.ūñgā
chāñdnī raat meñ phūloñ kī suhānī rut meñ
jab kabhī sair ko nikaloge to yaad ā.ūñgā
jin meñ mil jaate the ham tum kabhī aate jaate
jab bhī un galiyoñ se guzroge to yaad ā.ūñgā
yaad ā.ūñgā udāsī kī jo rut aa.egī
jab koī jashn manāoge to yaad ā.ūñgā
shelf meñ rakkhī huī apnī kitāboñ meñ se
koī dīvān uThāoge to yaad ā.ūñgā
sham.a kī lau pe sar-e-shām sulagte jalte
kisī parvāne ko dekhoge to yaad ā.ūñgā
jab kisī phuul pe ġhash hotī huī bulbul ko
sehn-e-gulzār meñ dekhoge to yaad ā.ūñgā
Top Urdushayar.com