Rajendra Nath Rahbar

kya kya sawal meri nazar puchhti rahi

Rajendra Nath Rahbar

1931
kyā kyā savāl merī nazar pūchhtī rahī
lekin vo aañkh thī ki barābar jhukī rahī
mele meñ ye nigāh tujhe DhūñDtī rahī
har mah-jabīñ se terā pata pūchhtī rahī
jaate haiñ nā-murād tire āstāñ se ham
ai dost phir mileñge agar zindagī rahī
āñkhoñ meñ tere husn ke jalve base rahe
dil meñ tire ḳhayāl kī bastī basī rahī
ik hashr thā ki dil meñ musalsal bapā rahā
ik aag thī ki dil meñ barābar lagī rahī
maiñ thā kisī kī yaad thī jām-e-sharāb thā
ye vo nashist thī jo sahar tak jamī rahī
shām-e-vidā-e-dost kā aalam na pūchhiye
dil ro rahā thā lab pe hañsī kheltī rahī
khul kar milā na jaam hī us ne koī liyā
'rahbar' mire ḳhulūs meñ shāyad kamī rahī
Top Urdushayar.com