tark-e-ulfat kā kuchh ḳhayāl bhī hai
yahī mumkin magar muhāl bhī hai
kyā khule uqda-e-hayāt-o-mamāt
har javāb ik nayā savāl bhī hai
varna kyā shai ye gardish-e-aflāk
is meñ shāmil kisī kī chaal bhī hai
kuchh mirā dil bhī hai junūñ-āsār
kuchh tirī aañkh kā kamāl bhī hai
is meñ jiine kā bhī hazār imkān
is meñ marne kā ehtimāl bhī hai
dil bhī hai andarūn-e-sīna azaab
sar sar-e-dosh ik vabāl bhī hai
har nazar sūratoñ kā ek tilism
har qadam ḳhvāhishoñ kā jaal bhī hai
har ḳhabar inkishāf-e-be-ḳhabarī
har nafas arsa-e-zavāl bhī hai
tujh se duurī bhī hai nashāt-afzā
terī qurbat meñ ik malāl bhī hai
sūrat-e-sabza ārzū-e-visāl
sar-kashīda bhī pā.emāl bhī hai
kin tazādāt meñ ghirā huuñ 'habīb'
zindagī hijr bhī visāl bhī hai