Farooq Nazki

rang KHake mein naya bhar dunga main

Farooq Nazki

1940
rañg ḳhāke meñ nayā bhar dūñgā maiñ
dushmanoñ se dostī kar lūñgā maiñ
phir nahīñ aane kā ḳhvāboñ meñ tire
shahr se tere agar jā.ūñgā maiñ
meñ bahut ziddī huuñ lekin jān-e-man
tū bulā.e to zarūr ā.ūñgā maiñ
hai tazādoñ kā chaman merā vajūd
fasl-e-gul kā marsiya gā.uñgā maiñ
kāñch ke alfāz kāġhaz par na rakh
sañg-e-ma.anī ban ke Takrā.ūñgā maiñ
rāste ke vāste ik jaam do
niim shab hai ab to ghar jā.ūñgā maiñ
Top Urdushayar.com