kore kāġhaz kī tarah be-nūr bāboñ meñ rahā
tīrgī kā hāshiya ban kar kitāboñ meñ rahā
maiñ aziyyat-nāk lamhoñ ke itāboñ meñ rahā
dard kā qaidī banā ḳhāna ḳharāboñ meñ rahā
jis qadar dī jism ko maqrūz sāñsoñ kī zakāt
kyā batā.ūñ jism utnā hī azāboñ meñ rahā
be-sifat sahrā huuñ kyuuñ sahrā-navardoñ ne kahā
har qadam par jab ki maiñ andhe sarāboñ meñ rahā
vaqt kī mahrūmiyoñ ne chhīn lī merī zabān
varna ik muddat talak maiñ lā-javāboñ meñ rahā
DhūñDte ho kyuuñ jalī tahrīr ke asbāq meñ
maiñ to kohre kī tarah dhuñdle nisāboñ meñ rahā