itnī ḳharāb sūrat-e-hālāt bhī nahīñ
jo kah na pā.ūñ aisī koī baat bhī nahīñ
sūraj kā gaañv jis kī jatāoñ meñ thī asiir
ai shahr-e-be-charāġh ye vo raat bhī nahīñ
phir aaj uTh rahā hai dhuāñ dal ke ās-pās
tajdīd-e-ārzū-e-mulāqāt bhī nahīñ
Dartā huuñ apne saa.e se meñ ḳhud-gazīda huuñ
siine meñ koī shorish-e-zulmāt bhī nahīñ
'fārūq'-nāzukī ne khilā.e lahū ke phuul
dil par agarche us kī ināyāt bhī nahīñ