puure qad se maiñ khaḌā huuñ sāmne aa.egā kyā
maiñ tirā saaya nahīñ huuñ mujh ko samjhā.egā kyā
āñdhiyoñ par uḌ rahā hai jin parindoñ kā hujūm
āsmāñ kī vus.atoñ se lauT kar aa.egā kyā
ik na.e manzar kā ḳhāka āsmāñ par kyuuñ nahīñ
chāñd apnī chāñdnī par yūñhī itrā.egā kyā
fasl-e-gul ke ba.ad patjhaḌ yuuñ to ik ma.amūl hai
ḳhauf ban kar phir dar-o-dīvār par chhā.egā kyā
jānib-e-shahr-e-ġhazālāñ phir chalī shām-e-firāq
dasht kī be-ḳhvābiyoñ kā rāzdāñ aa.egā kyā
ḳhuun kī rotī safedī be-sadā sāzoñ kā shor
be-sar-o-pā giit koī be-zabāñ gā.egā kyā
hai ġhazal āzād goyā be-dar-o-dīvār ghar
ham ko bhī is sinf-e-be-jā kā hunar aa.egā kyā