yūñhī kar lete haiñ auqāt basar apnā kyā
apne hī shahr meñ haiñ shahr-badar apnā kyā
raat lambī hai chalo ġhībat-e-yārāñ kar leñ
shab kisī taur to ho jaa.e basar apnā kyā
dūriyāñ fāsle dushvār guzargāheñ haiñ
hai yahī shart-e-safar raḳht-e-safar apnā kyā
tujh se ab izn-e-takallum bhī agar mil jaa.e
lab hileñ yā na hileñ aañkh ho tar apnā kyā
jaam phir taaza karo raat bahut lambī hai
kuchh to karnā hai miyāñ tā-ba-sahar apnā kyā