ham rivāyat ke sāñche meñ Dhalte bhī haiñ
aur tarz-e-kuhan ko badalte bhī haiñ
jāda-e-ām par bhī hai apnī nazar
jāda-e-ām se bach ke chalte bhī haiñ
rāhibāna qanā.at ke ḳhūgar sahī
vālihāna kabhī ham machalte bhī haiñ
dāman-e-nashsha dete nahīñ haat se
riñd girte bhī haiñ aur sambhalte bhī haiñ
yuuñ to iḳhfā-e-ġham kā namūna haiñ ham
dūsroñ ke liye haat malte bhī haiñ
kuchh ye hai maslahat-kesh ham bhī nahīñ
kuchh ye ahl-e-riyā ham se jalte bhī haiñ
naaz kyā is qadar aarzī husn par
shahryāroñ ke sikke badalte bhī haiñ