gahrī niilī shaam kā manzar likhnā hai
terī hī zulfoñ kā daftar likhnā hai
ka.ī dinoñ se baat nahīñ kī apnoñ se
aaj zarūrī ḳhat apne ghar likhnā hai
shiddat par hai hare-bhare pattoñ kī pyaas
sahrā sahrā ḳhuun samundar likhnā hai
patthar par ham naam kisī kā likkheñge
ā.īne par aazar aazar likhnā hai
chehra raushan khule hue sahrā kī dhuup
gahrī āñkheñ gahrā sāgar likhnā hai
is se aage kuchh likhne se qāsir huuñ
is ke aage tujh ko baḌh kar likhnā hai