Farooq Nazki

dard ki raat guzarti hai magar aahista

Farooq Nazki

1940
dard kī raat guzartī hai magar āhista
vasl kī dhuup nikhartī hai magar āhista
āsmāñ duur nahīñ abr zarā nīche hai
raushnī yuuñ bhī bikhartī hai magar āhista
tum ne māñgī hai duā Thiik hai ḳhāmosh raho
baat patthar meñ utartī hai magar āhista
terī zulfoñ se use kaise judā kartā maiñ
zindagī yuuñ bhī sañvartī hai magar āhista
Top Urdushayar.com