Farooq Nazki

basti se dur ja ke koi ro raha hai kyun

Farooq Nazki

1940
bastī se duur jā ke koī ro rahā hai kyuuñ
aur pūchhtā hai shahr tirā so rahā hai kyuuñ
rusvā.iyoñ kā Dar hai na purshish kā ḳhauf hai
dāman se apne dāġh-e-vafā dho rahā hai kyuuñ
kyā lazzat-e-gunāh se dil āshnā nahīñ
sharminda mere haal pe tū ho rahā hai kyuuñ
vo un kī dil-fareb dil-ārā.iyāñ kahāñ
maazī ke ḳhauf-zār meñ ab kho rahā hai kyuuñ
'fārūq'-jī kā kab koī pursān-e-hāl thā
tanhā.iyoñ ke ġhaar meñ dil ro rahā hai kyuuñ
Top Urdushayar.com