Farooq Nazki

tohmat-e-sair-e-chaman hum pe lagi kya na hua

Farooq Nazki

1940
tohmat-e-sair-e-chaman ham pe lagī kyā na huā
tab-e-āzād meñ zanjīr paḌī kyā na huā
vo alam-dost the ham jin kī har ik mausam meñ
dekhte dekhte ḳhushiyoñ se Thanī kyā na huā
ḳhvāb to ḳhvāb rahe niiñd bhī aane se rahī
gard-e-bedārī-e-shab muñh pe malī kyā na huā
sīna-e-barg-e-gul-e-tar pe nazar thī apnī
zindagī aag ke sāñche meñ Dhalī kyā na huā
ham to kyā chiiz the is shahr ke hañgāmoñ meñ
ahl-e-dānish kī kahāñ pesh chalī kyā na huā
Top Urdushayar.com