Farooq Nazki

ajib rang sa chehron pe be-kasi ka hai

Farooq Nazki

1940
ajiib rañg sā chehroñ pe be-kasī kā hai
chalo sambhal ke ye aalam ravā-ravī kā hai
kabhī na baat zamāne ne dil lagā ke sunī
yahī to ḳhaas sabab merī be-dilī kā hai
sunā hai log vahāñ mujh se ḳhaar khāte haiñ
fasāna aam jahāñ merī bebasī kā hai
Top Urdushayar.com