saarā badan hai ḳhuun se kyuuñ tar use dikhā
shah-rag kaTī hai jis se vo nashtar use dikhā
aa.egī kaise niiñd dikhā vo hunar use
phir is ke ba.ad ḳhvāb ko chhū kar use dikhā
āñkhoñ se apne ashk ke tāroñ ko toḌ kar
sūkhī nadī ke dard kā manzar use dikhā
dukh-sukh jo dhuup chhāñv kā ik khel hai to phir
sūraj ke saath bādaloñ ke par use dikhā
aa.e jo koī shīshe kā paikar liye hue
to apne dasht-e-shauq meñ patthar use dikhā
pūchhe jo zindagī kī haqīqat koī 'jamāl'
to chuTkiyoñ meñ ret uḌā kar use dikhā