ḳhuuñ rulātī rahī ik umr-e-shab-e-tār mujhe
tab kahīñ jā ke mile sub.h ke āsār mujhe
maiñ na yūsuf huuñ na ye shahr-e-zuleḳhā yaaro
kyoñ chale aa.e ho le kar sar-e-bāzār mujhe
ghar meñ laa.ī to hai betābī-e-dil dekh zarā
kahīñ pahchān na leñ ye dar-o-dīvār mujhe
maiñ to huuñ sarhad-e-imkāñ se guzarne vaalā
pā sakegī na kabhī vaqt kī raftār mujhe
tahī dāman huuñ magar ahl-e-havas ke aage
roktā hai lab-e-iz.hār se pindār mujhe
mere dushman to kabhī vaar na karte lekin
mere apnoñ ne safī' kar diyā lāchār mujhe