saroñ pe dhuup to āñkhoñ meñ ḳhvāb patthar ke
vo sañg-dil the so utre azaab patthar ke
havā-e-kūcha-e-jānāñ se haal pūchā thā
isī ḳhatā pe mile haiñ javāb patthar ke
ye kaun sañg-e-sifat pāniyoñ meñ utrā hai
uThe haiñ āb-e-ravāñ se habāb patthar ke
havā.eñ bāñjh zamīñ be-samar nazar vīrāñ
ki ab ke barse hoñ jaise sahāb patthar ke
talāsh-e-manzil-e-jānāñ meñ rahne vāloñ ko
ḳhudā mile bhī to ḳhāna-ḳharāb patthar ke
ye kaisā mausam-e-gul hai ye kaisā gulshan hai
ravish ravish meñ khile haiñ gulāb patthar ke
koī vahāñ ġham-e-insāñ kī baat kyā jaane
'safī' jahāñ pe hoñ izzat-ma.āb patthar ke