duniyā ne sach ko jhuuT kahā kuchh nahīñ huā
itnā lahū zamīñ pe bahā kuchh nahīñ huā
pahle bhī karbalā meñ mashiyyat ḳhamosh thī
ab ik charāġh aur bujhā kuchh nahīñ huā
fir.aun-e-maslahat sar-e-tūr-e-nazar rahe
muusā bhī le ke aa.e asā kuchh nahīñ huā
mere lahū ko chehre pe mal kar mirī zamīñ
detī rahī falak ko sadā kuchh nahīñ huā
taslīs-e-be-hisī ne haram ko zubūñ kiyā
qur.āñ bhī rehl-e-jāñ se girā kuchh nahīñ huā
shal ho ga.e haiñ haath duā māñgte hue
ab kyā kahūñ ki mere ḳhudā kuchh nahīñ huā
dekheñ vo sub.h-e-amn kab aa.e 'safī'-hasan
ab tak sivā-e-jaur-o-jafā kuchh nahīñ huā