vo jo sab kuchh hai use duur biThā rakkhā hai
ḳhvāhisheñ haiñ jinheñ ma.abūd banā rakkhā hai
kuchh to hai tīrgī-e-dil meñ ujāle ke liye
tū nahīñ hai tirī yādoñ ko bulā rakkhā hai
har koī apne hī partav meñ hai sargarm-e-safar
maiñ ne māhaul ko ā.īna dikhā rakkhā hai
us kā bātin bhī hai ḳhurshīd-e-qayāmat kī tarah
ye jo ik taaq meñ chhoTā sā diyā rakkhā hai
ek lahza mirī tanhā.ī meñ aa kar dekho
maiñ ne zindāñ meñ bharā shahr basā rakkhā hai
sar-e-darbār jo pūchho to mirā jurm hai ye
maiñ ne kyoñ shahr meñ āñkhoñ ko khulā rakkhā hai
kabhī do bol mohabbat ke bhī ai jān-e-'safī'
jab bhī dekho tire hoñToñ pe lagā rakkhā hai