laġhzisheñ tanhā.iyoñ kī sab batā dī jā.eñgī
rañgateñ chehroñ kī is sūrat uḌā dī jā.eñgī
ḳhushk peḌoñ par na.e mausam ugāne ke liye
zard pattoñ kī ye tahrīreñ miTā dī jā.eñgī
qaht nīñdoñ kā paḌegā chāhatoñ ke khet meñ
ḳhvāb kī fasleñ agar saarī jalā dī jā.egī
in sarāboñ meñ muqayyad mujh se qaidī ke liye
kyā fasīleñ ret kī ūñchī uThā dī jā.eñgī
phir samundar ke makānoñ kā bhī leñge jā.eza
sīḌhiyāñ paanī kī tah tak jab banā dī jā.eñgī
kyā ḳhabar thī shak kī ḳhātir dostī ke naam par
aaj apnī āstīneñ bhī dikhā dī jā.eñgī
jā.eza jab mere ghar kā lene vo aa.e 'jamāl'
TuuTī phūTī hāñDiyāñ bhī khankhanā dī jā.eñgī