Afzal Peshawari

pesh aane lage hain nafrat se

Afzal Peshawari

pesh aane lage haiñ nafrat se
bhar gayā un kā dil mohabbat se
fā.eda ye hai terī qurbat se
ḳhuub kaTtā hai vaqt rāhat se
kaam bante nahīñ haiñ nafrat se
kaam chalte haiñ sab mohabbat se
un kī ḳhātir mujhe jahāñ vaale
dekhte haiñ baḌī hiqārat se
zindagī merī ik musībat thī
mil ga.e aap mujh ko qismat se
saarī duniyā harīf hai merī
ik zarā sī tirī ināyat se
kyā ḳhabar thī ki vaqt paḌte hī
haath uThā leñge vo mohabbat se
vo shab-e-vasl bhī to pahlū meñ
baaz aate nahīñ sharārat se
dil ko chaskā paḌā hai kuchh aisā
baaz aatā nahīñ mohabbat se
kāmrānī ke vāste 'afzal'
kaam lenā paḌegā himmat se
Top Urdushayar.com