Aurang zeb

aam raste se haT ke aaya hun

Aurang zeb

aam raste se haT ke aayā huuñ
saarī duniyā se kaT ke aayā huuñ
merī vus.at tujhe Darā detī
apne andar simaT ke aayā huuñ
koī taaza sitam ki maiñ pichhle
hādsoñ se nimaT ke aayā huuñ
haañ mohabbat to maar detī hai
ye kahānī maiñ raT ke aayā huuñ
merī hālat se maap raste ko
maiñ kahāñ se palaT ke aayā huuñ
rāh-e-ġham ab Darā nahīñ saktī
ġham se hī to lipaT ke aayā huuñ
us kī shāḳhoñ pe phal nahīñ lagtā
jis shajar se maiñ kaT ke aayā huuñ
koī sūrat nahīñ hai juḌne kī
itne TukḌoñ meñ baT ke aayā huuñ
Top Urdushayar.com