Aurang zeb

ab koi aur musibat to na pali jae

Aurang zeb

ab koī aur musībat to na paalī jaa.e
us kī yādoñ se bhī ab jaan chhuḌā lī jaa.e
vo bhī mere liye kuchh sochtā hai sochtā huuñ
kaise dil se mire ye ḳhām-ḳhayālī jaa.e
ziist be-rabt hai par hai to ḳhudā kī ne.amat
jis tarah se bhī ye nibhtī hai nibhā lī jaa.e
aise bhī dost haiñ kuchh jin kā yahī maqsad hai
vaar kyā un kī koī baat na ḳhālī jaa.e
yaad jis kī hameñ sone nahīñ detī aksar
us sitamgar kī bhī ab niiñd churā lī jaa.e
us ke dar se maiñ yahī soch ke lauT aayā huuñ
'zeb' ab ke bhī na dastak mirī ḳhālī jaa.e
Top Urdushayar.com