us nigāh-e-nāz ne yuuñ rāt-bhar tajsīm kī
sab charāġhoñ meñ barābar raushnī taqsīm kī
raat pīchhe paḌ ga.ī thī ḳhauf ke saa.e liye
ḳhvāb se aage nikal kar vaqt meñ tarmīm kī
aa.ina ho jā.egā ye dasht mujh par ek din
girheñ khultī jā rahī haiñ ahsan-e-taqvīm kī
donoñ hī aa kar alif kī raushnī meñ zam huiiñ
ik tajallī laam kī aur ik tajallī miim kī
shahd kā bhī zikr ho saktā thā hone ko magar
us ke lahje ke mutābiq baat chheḌī niim kī
maiñ hī thā apne muqābil ḳhvāhishoñ kī Dor meñ
hārnā mushkil lagā so jiit hī taslīm kī
dost lekin tujh ko ye izzat na raas aa.ī kabhī
maiñ ne apne aap se baḌh kar tirī takrīm kī
shaam hote hī charāġhoñ ko sajāyā taaq meñ
saarā din so kar guzārā raat kī tāzīm kī
umr-bhar sūraj ke aage haath phailā.e magar
ik sitāre ne mujhe ye raushnī ta.alīm kī
khīñch kar aflāk pe ik surma.ī raushan lakīr
chāñd ne sūrat badal Daalī hamārī theem kī
maiñ ne 'zeb' us ko mohabbat meñ kahā thā mujh se mil
us ne merī baat kī kitnī ġhalat tafhīm kī