Aurang zeb

kaisa manzar guzarne wala tha

Aurang zeb

kaisā manzar guzarne vaalā thā
aañkh se Dar guzarne vaalā thā
vo ajab rahguzār thī jis kā
mustahiq har guzarne vaalā thā
vaqt se maiñ guzar rahā thā magar
vaqt mujh par guzarne vaalā thā
ek hī dil milā thā aur dil bhī
kuchh na kuchh kar guzarne vaalā thā
us ne bheje the ashk manzar meñ
ḳhushk se tar guzarne vaalā thā
mere raste ko kar diyā hamvār
mujh se behtar guzarne vaalā thā
jaañ hathelī pe rakh ke maqtal se
ek ḳhud-sar guzarne vaalā thā
maiñ ne zanjīr rail meñ khīñchī
jab mirā ghar guzarne vaalā thā
shukr hai kaam aa ga.ī hikmat
ḳhair se shar guzarne vaalā thā
maiñ vahī kar nahīñ sakā sad-haif
kaam jo kar guzarne vaalā thā
mere dil kī havā se 'zeb' us din
mor kā par guzarne vaalā thā
Top Urdushayar.com