Aurang zeb

aa kar uruj kaise gira hai zawal par

Aurang zeb

aa kar uruuj kaise girā hai zavāl par
hairān ho rahā huuñ sitāroñ kī chaal par
ik ashk bhī Dhalak ke dikhā.e ab aañkh se
maiñ sabr kar chukā huuñ tumhāre ḳhayāl par
aa aa ke us meñ machhliyāñ hotī rahīñ farār
hañstī hai jal-parī bhī machheroñ ke jaal par
māyūs ho ke dekhnā kyā āsmān ko
uḌne kā shauq hai to mirī jaañ nikāl par
maiñ tañg aa chukā huuñ ki samjhā.ūñ kis tarah
ik roz chhoḌ dūñgā tujhe tere haal par
kuchh yaad hai ki maiñ ne banā.e the tere naqsh
phir itnā naaz kyuuñ hai tujhe ḳhadd-o-ḳhāl par
misl-e-gulāb aap jo mahke haiñ baaġh meñ
bosa vasūl kījiye titlī kā gaal par
tafrīq kis tarah se karoge yahāñ pe 'zeb'
insāñ likhā huā hai darindoñ kī khaal par
Top Urdushayar.com