rañg to maujūd kī tasvīr ho sakte nahīñ
vo jo manzar ḳhvāb haiñ ta.abīr ho sakte nahīñ
kyuuñ mujhe ash.ār kahne kā hunar us ne diyā
mujh se mere dukh agar tahrīr ho sakte nahīñ
aañkh meñ manzar to aa sakte haiñ sūrat oḌh kar
aa.ine to aks se zanjīr ho sakte nahīñ
maiñ hī apne dard-o-ġham likkhūñgā apne haath se
ye janāze aap se tahrīr ho sakte nahīñ
sarf ho jā.eñge ham us kī mohabbat meñ yūñhī
sarf ho jā.eñge ham tasḳhīr ho sakte nahīñ
is zamīñ kī Toh meñ rahnā himāqat hai miyāñ
jis zamīñ pe sher bhī ta.amīr ho sakte nahīñ
guftugū ye kah rahī hai baat meñ halke ho tum
so murīdī meñ raho tum piir ho sakte nahīñ
niiñd to be-kār meñ in kosnoñ kī zad meñ hai
ḳhvāb hī aise haiñ jo ta.abīr ho sakte nahīñ
is ko sehl-e-mumtana.a meñ baat aa.egī samajh
'zeb' aise sher to tafsīr ho sakte nahīñ