sub.h talak aflāk pe ik kaifiyyat taarī kartā huuñ
chāñd ko apnī nazm sunā kar shab-bedārī kartā huuñ
chaukīdār huuñ lekin merā lambā-chauḌā kaam nahīñ
ek hī phuul hai baaġh meñ jis kī pahre-dārī kartā huuñ
ghar se nikal aatā huuñ aksar subah ke taḌke vahshat meñ
jhiil meñ patthar pheñk ke din-bhar vaqt-guzārī kartā huuñ
raat guzar jaatī hai merī hijr kā dukh nimTāne meñ
zaḳhm-shumārī ho jaa.e to najm-shumārī kartā huuñ
ḳhuun se khīñch ke ashk ko apne laatā huuñ in āñkhoñ tak
kitnī mushkil se maiñ ḳhud par riqqat taarī kartā huuñ
tum ko samajh meñ aa jaa.e to samjho sher mukammal hai
TūTe-phūTe lafzoñ meñ bas baat tumhārī kartā huuñ
lafzoñ ko tartīb meñ rakh kar paḌhtā huuñ har mahfil meñ
lahje kī imdād se maiñ āvāz ko bhārī kartā huuñ
roz birājnā hotā hai ik nayā singhāsan mujh ko 'zeb'
roz ke roz isī dhārā ke sikke jaarī kartā huuñ