aaj shab-e-me.arāj hogī is liye taz.īn hai
vo qadam uTThe haiñ jin ko āsmāñ qālīn hai
maañ ne paḌh kar phūñk dī thī mujh pe bachpan meñ kabhī
mere dil par naqsh ab tak sūra-e-yāsīn hai
ashk ke bose kī lazzat kyā batā.ūñ maiñ tumheñ
kyā batā.ūñ maiñ tumheñ ye kis qadar namkīn hai
us ko darveshī samajhne vāloñ par hairān huuñ
haath meñ kaasa uThānā ishq meñ tauhīn hai
ilm kī ḳhvāhish tumheñ manzil talak le jā.egī
jaane vaale to bano agle qadam par chiin he
aur bhī yāroñ se kahnā vaqt pe sab aa mileñ
mere ghar ke sahn meñ ik ḳhvāb kī tadfīn hai
sochnā is baab meñ bekār jā.egā tirā
ye mohabbat hai miyāñ us kā alag aa.iin hai
us ke lab par ik duā hai sirf merī maut kī
mere lab par kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ āmīn hai
ab mohabbat kī taraf maiñ lauTne vaalā nahīñ
dil ye tū ne Thiik samjhā aisā hī kuchh scene hai
uḌ rahā hai 'zeb' kī tahrīr ke āhañg meñ
ye parinda hazrat-e-iqbāl kā shāhīn hai