Aurang zeb

kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae

Aurang zeb

kyā ḳhabar apne Thikāne kī taraf lauT aa.e
ḳhud-ba-ḳhud tiir nishāne kī taraf lauT aa.e
sañg lauT aa.e pahāḌoñ kī taraf āḳhir-kār
aa.ine ā.ina-ḳhāne kī taraf lauT aa.e
jab khulā un pe ki naqsha mire sandūq meñ hai
aur kuchh saañp ḳhazāne kī taraf lauT aa.e
raat badmast rahe sābit-o-sayyār ke saath
sub.h hote hī zamāne kī taraf lauT aa.e
gaarā tayyār hai aur chaak bhī maujūd hai ab
kūza-gar kuuza banāne kī taraf lauT aa.e
hijr ko jhelnā āsān kahāñ thā ai dil
ham mohabbat meñ bahāne kī taraf lauT aa.e
bhiik is shahr meñ milnā koī āsān nahīñ
ya.anī majbūr kamāne kī taraf lauT aa.e
aur phir dasht-e-tamannā meñ bhaTakte hue log
ārzū-mand Thikāne kī taraf lauT aa.e
apnā kirdār nibhāne kī tag-o-tāz meñ 'zeb'
ham kahānī se fasāne kī taraf lauT aa.e
Top Urdushayar.com