aa.ina hai ḳhayāl kī hairat
us pe tere jamāl kī hairat
koī chehra nahīñ tamannā kā
kuchh nahīñ ḳhadd-o-ḳhāl kī hairat
kaun sā sharq kis tarah kā ġharb
kyā junūb-o-shumāl kī hairat
aisā kartā huuñ bāñdh detā huuñ
zaḳhm par indimāl kī hairat
dekhne vaalā bhī pareshāñ hai
TuuTe shīshe meñ baal kī hairat
dil pe chaltā hai dard kā jaadū
aañkh meñ hai malāl kī hairat
de gayā hai javāb aa kar vo
rah ga.ī hai savāl kī hairat
sab ko hairat meñ Daal detī hai
chaal par khaa.ī chaal kī hairat
khīñch letī hai ek din ḳhud hī
jal-parī ko bhī jaal kī hairat
tohfa miltā hai jab janam-din pe
ḳhatm hotī hai saal kī hairat
tabsire the uruuj par mere
maiñ ne dekhī zavāl kī hairat
sab ayaañ ho gayā zamāne par
ḳhatm-shud māh-o-sāl kī hairat
apnā maazī batā rahā hai 'zeb'
lauT aa.egī haal kī hairat