Aurang zeb

nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai

Aurang zeb

nihatte aadmī pe baḌh ke ḳhanjar taan letī hai
mohabbat meñ na paḌ jaanā mohabbat jaan letī hai
use ḳhāmosh dekhūñ to sunā.ī kuchh nahīñ detā
dikhā.ī kuchh nahīñ detā nazar jab kaan letī hai
udāsī āshnā hai is qadar aahaT se merī ab
jahāñ se bhī guzartā huuñ mujhe pahchān letī hai
ḳhushī to de hī detī hai tirī duniyā mujhe lā kar
magar badle meñ vo us ke mirā īmān letī hai
bas ik lamha lagātī hai ḳhushī aa kar guzarne meñ
udāsī aa.e to sadiyoñ kī miTTī chhān letī hai
barābar baañT detī hai vo sāñseñ ḳhāk-zādoñ meñ
na-jāne zindagī kis kī dukāñ se bhaan letī hai
isī ke saath chaltī hai ye manzil par pahuñchne tak
ye rāh-e-ġham jise apnā musāfir jaan letī hai
vo har machhlī jo machhlī ghar kī paidāvār ho sāhab
vo machhlī ghar ko hī apnā samundar maan letī hai
ham us ke haath pe rakh deñ zamīn-o-āsmāñ lā kar
magar vo ham faqīroñ kā kahāñ ehsān letī hai
sar-e-maqtal bikhar jaate haiñ is meñ Dūbne vaale
mohabbat har qadam par ḳhuun kā tāvān letī hai
agar bujhne se bachnā hai to lau se lau jalāo 'zeb'
havā jalte charāġhoñ se yahī paimān letī hai
Top Urdushayar.com