nahīñ ye jiit nahīñ hai tū is ko maat samajh
ki tere saath yahāñ ho gayā hai haath samajh
maiñ apne payāde se terā vazīr māruñgā
ba-ġhaur dekh mirī chaal vārdāt samajh
kisī kisī pe hī khulte haiñ pech-o-ḳham mere
maiñ itnā sahl nahīñ merī mushkilāt samajh
mohabbat itnī ri.āyat nahīñ diyā kartī
agar vo hañs ke bhī dekhe to iltifāt samajh
mirī kahānī tire chehre par likhī huī hai
maiñ aa.ina huuñ mujhe dekh aur baat samajh
dafīna jaan in āñkhoñ ko hijr meñ us ke
jo in meñ ashk haiñ pinhāñ navādirāt samajh
guzar chukā hai agar tū sin-e-bulūġhat se
tū apne jism ko ab vājibuzzakāt samajh
nazar ko ek hī nuqte pe murtakiz kar le
dil-o-nigāh kī uljhan ko ek saath samajh
dhaḌak rahā hai ye kis shaḳhs kī mohabbat meñ
samajh meñ aa.eñ to dil ke muāmalāt samajh
ye chalte-phirte hue but haiñ aadmī to nahīñ
zamīñ pe chār-sū barpā hai somnāt samajh
ik ek lafz alāmat hai husn-e-fitrat kī
ye shā.irī hai so is kī jamāliyāt samajh
ruke hue bhī safar kar rahī hai ḳhaak mirī
guzar rahī hai guzāre binā hayāt samajh
khulī hai jab se tirī kīna-parvarī mujh par
to aa ga.ī hai mujhe ek ek baat samajh
tujhe ye ishq kī jānib dhakel saktā hai
samajh rahā hai to dil ko bhī dost ghaat samajh
jo mujh pe biitā hai maiñ ne vahī likhā hai 'zeb'
tū mere sheroñ ko bas mere tajrabāt samajh