Aurang zeb

ye baaton hi baaton mein baaten badalna

Aurang zeb

ye bātoñ hī bātoñ meñ bāteñ badalnā
koī tum se sīkhe ye āñkheñ badalnā
ham aaseb ke Dar se ghar kyuuñ badal leñ
parindoñ pe jachtā hai shāḳheñ badalnā
kuchh apnā bhī kah lo yuuñ kab tak chalegā
radīfeñ uchaknā zamīneñ badalnā
vahī ġham se aarī haiñ kār-e-jahāñ meñ
jinheñ ḳhuub aatā hai rāheñ badalnā
ye jiinā bhī shatranj hī ne sikhāyā
ki chāloñ ke lagne pe chāleñ badalnā
rivāyat rahī hai yahī fī zamāna
nazariye badalnā kitābeñ badalnā
ye tujh se hī sīkhā hai jān-e-tamannā
zarā sī udāsī meñ bāñheñ badalnā
Top Urdushayar.com