Aurang zeb

kaun atha mein utre meri kis pe khule hangam mera

Aurang zeb

kaun athā meñ utre merī kis pe khule hañgām mirā
ashk se kaise bhāñp sakoge ḳhuun meñ hai kohrām mirā
koī to saa.at guzre jis meñ do tahzībeñ vasl kareñ
khīñch luuñ maiñ zunnār badan par bāñdh le tū ehrām mirā
bach ke kahāñ jāoge āḳhir tum itne chālāk nahīñ
dasht ke chappe chappe par to bichhā huā hai daam mirā
hare-bhare insān ko kaise hijr kī aag ne zard kiyā
ab bhī ishq karegā pyāre dekh to le anjām mirā
aayā huuñ bāzār meñ bikne maiñ ḳhud apnī marzī se
varna kis meñ dam hai itnā kaun lagā.e daam mirā
niiñd kī ye imdād hamesha ishq meñ pahuñchānā mujh ko
aañkh na ho tujh husn se ḳhālī ḳhvāb na ho nākām mirā
sab ne zabāñ pe vird kī sūrat mere sher sajā.e haiñ
kaan lagā kar sun le har sū guuñj rahā hai naam mirā
jaane kis ke ḳhauf se ghar par vahshat taarī rahtī hai
kaañp rahī hai saqf musalsal laraz rahā hai baam mirā
chhoḌ guzishta ahd kī bāteñ kaun marā aur kaun jiyā
mujh se mil maiñ ahd-e-ravāñ huuñ aurañgzeb hai naam mirā
Top Urdushayar.com