Aurang zeb

aaine se guzarne wala tha

Aurang zeb

aa.ine se guzarne vaalā thā
aks-e-hastī bikharne vaalā thā
lafz tartīb de rahā thā maiñ
sher mujh par utarne vaalā thā
dost tasvīr to parā.ī thī
maiñ to bas rañg bharne vaalā thā
ham bhī kyā us ke saath mar jaate
marne vaalā to marne vaalā thā
phir achānak badal gayā manzar
maiñ jise naqsh karne vaalā thā
phir mujhe sāmne se haTnā paḌā
aa.ina mujh se Darne vaalā thā
vo to nāḳhun ne mehrbānī kī
varna ye zaḳhm bharne vaalā thā
phuul thā shāḳh kī hathelī par
aur havā meñ bikharne vaalā thā
ab ki sūraj thā ishtihā merī
maiñ vahāñ paañv dharne vaalā thā
tum ne dekhā thā kitnā sharminda
mujh pe tanqīd karne vaalā thā
tishnagī thī uruuj par apnī
aur dariyā utarne vaalā thā
hādisa ain us jagah pe huā
maiñ jahāñ se guzarne vaalā thā
Top Urdushayar.com