misāl-e-sañg-e-tapīda jaḌe hue haiñ kahīñ
hamāre ḳhvāb yahīñ par paḌe hue haiñ kahīñ
ulajh rahī hai na.ī Dor narm hāthoñ se
patañg shāḳh-e-shajar par aḌe hue haiñ kahīñ
jinheñ ugāyā gayā bargadoñ kī chhāñv meñ
bhalā vo peḌ chaman meñ baḌe hue haiñ kahīñ
guzar gayā vo qayāmat kī chaal chalte hue
jo muntazir the vahīñ par khaḌe hue haiñ kahīñ
bulā rahā hai koī shahr-e-ārzū se hameñ
magar ye paañv zamīñ meñ gaḌe hue haiñ kahīñ