Fiza jalandharii

tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se

Fiza jalandharii

Jalandhar, Punjab, India

1905-1968
tujhe kis tarah chhuḌā.ūñ ḳhalish-e-ġham-e-nihāñ se
dil-e-be-qarār lā.ūñ unheñ DhūñDh kar kahāñ se
vo bahār kaash aa.e vo chale havā-e-dil-kash
ki qafas pe phuul barseñ mirī shāḳh-e-āshiyāñ se
kabhī qāfile se aage kabhī qāfile se pīchhe
na maiñ kārvāñ meñ shāmil na judā huuñ kārvāñ se
mire ba.ad kī bahāreñ mirī yādgār hoñgī
ki khileñge phuul akasr mirī ḳhāk-e-rā.egāñ se
abhī muskurā rahī thiiñ mirī aarzū kī kaliyāñ
mujhe le chalā muqaddar sū-e-dām āshiyāñ se
jo jabīñ meñ thā amānat mirā shauq-e-jubba-sā.ī
vo lipaT ke rah gayā hai tire sañg-e-āstāñ se
milī lamha-bhar bhī fursat na 'fazā'-e-ġham-zada ko
vo baras rahe haiñ fitne shab-o-roz āsmāñ se
Top Urdushayar.com