Nazar Kanpuri

dur kya shama kabhi rahti hai parwane se

Nazar Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1948
duur kyā sham.a kabhī rahtī hai parvāne se
aap kyuuñ ruuTh ga.e apne hī dīvāne se
jis tarah mai chhalak uTThe kabhī paimāne se
aap yuuñ duur hue apne hī mastāne se
pyaar kī aag meñ jalne kā mazā hai kaisā
kyā batā.egā koī pūchhiye parvāne se
mai-kade kī is udāsī se pata lagtā hai
tishna-lab uTh gayā shāyad koī maiḳhāne se
raat baaqī hai abhī jaane kī jaldī kyā hai
sab chalā jā.egā ik tere chale jaane se
lag ga.ī kis kī nazar daur-e-taraqqī pe ḳhudā
aaj apne hī nazar aate haiñ begāne se
Top Urdushayar.com