jaate jaate vo mujhe apnī nishānī de gayā
zindagī-bhar ke liye āñkhoñ meñ paanī de gayā
sunte sunte dāstāñ so jā.eñge sab chāragar
ḳhatm jo hogī nahīñ aisī kahānī de gayā
sar mire siine pe us ne jab rakhā hai zindagī
is tarah dariyā-e-dil ko vo ravānī de gayā
baat bhī itnī ki bas us ne kiyā mujh ko salām
haañ magar logoñ ke dil meñ bad-gumānī de gayā
thī ġhazal merī bahut be-rabt be-kaif-o-asar
vo mire ash.ār ko alfāz-o-ma.anī de gayā
bazm meñ be-parda aayā muskurā kar sāmne
nā-tavāñ dil ko mire phir se javānī de gayā
le gayā hamrāh apne vo makāñ aur bām-o-dar
hai nazar sab kuchh magar ik be-makānī de gayā