Nazar Kanpuri

apni aankhon mein basa lo ya gira do mujhko

Nazar Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1948
apnī āñkhoñ meñ basā lo yā girā do mujh ko
qatra-e-ashk huuñ jo chāhe sazā do mujh ko
sūrat-e-sham-e-sar-e-bazm jalā do mujh ko
sub.h ho jaa.e to āñval se bujhā do mujh ko
maiñ to bīmār-e-mohabbat huuñ mere chāragaro
ab to bas zulf-e-mo.ambar kī havā do mujh ko
ik sivā tere mujhe yaad na aa.e kuchh bhī
is qadar ishq meñ dīvāna banā do mujh ko
mere dil meñ na koī hasrat-e-dīdār rahe
kaash ik baar ruḳh-e-zebā dikhā do mujh ko
is qadar apne nazar se ho ḳhafā Thiik nahīñ
kyā ḳhatā merī hai bas itnā batā do mujh ko
Top Urdushayar.com