Nazar Kanpuri

phul pe jab ek titli dekhi apni jawani yaad aai

Nazar Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1948
phuul pe jab ik titlī dekhī apnī javānī yaad aa.ī
aaj na jaane phir kyuuñ mujh ko apnī kahānī yaad aa.ī
zaḳhm ke Tāñke TuuT ga.e sab raat chalī jo purvā.ī
phir to chale the zaḳhm magar phir terī nishānī yaad aa.ī
yuuñ to sab kuchh bhuul chukā huuñ tark-e-vafā ke ba.ad magar
dard uThā jab dil meñ mere terī nishānī yaad aa.ī
tere kuñvāre jism kī ḳhushbū phail ga.ī hai kamre meñ
tujh ko havā jab chhū kar aa.ī raat suhānī yaad aa.ī
sham.a kī lau par jalte dekhā raat jo ik parvāne ko
saarī kahānī maazī kī vo apnī zabānī yaad aa.ī
bahte hue ik dariyā ko jo dekhā maiñ ne ek 'nazar'
haa.e kisī ke lahje kī vo narm kahānī yaad aa.ī
Top Urdushayar.com