ab to jiine kī koī aas nahīñ
terī yādeñ bhī mere paas nahīñ
siikh lete haiñ vo fan-e-ulfat
dair meñ ishq kā class nahīñ
dekh luuñ terī nargisī āñkheñ
aur koī bhī mujh ko pyaas nahīñ
pī rahā huuñ maiñ ashk-e-ġham-e-sāqī
mai se labrez ye gilās nahīñ
jab se mujh se bichhaḌ gayā koī
zindagī aa.ī mujh ko raas nahīñ
sahn-e-gulshan ke phuul sharmā.e
koī bhī tujh sā ḳhush-libās nahīñ
jo thā qismat meñ vo nazar aayā
ġham meñ bhī rah ke maiñ udaas nahīñ