vafā ko kahāñ bevafā jāntā hai
haqīqat hai kyā aa.ina jāntā hai
kisī ko batāne se kyā hogā hāsil
mirā haal merā ḳhud jāntā hai
koī bhī na bolā jo maiñ ne ye pūchhā
koī us ke ghar kā pata jāntā hai
zarā ishq karne se pahle samajh le
mohabbat kā kyā falsafa jāntā hai
añdherā bahut aur lambā safar hai
hai manzil kahāñ rahnumā jāntā hai
'nazar' āñdhiyoñ meñ jo raushan hai ab tak
diyā bhī mizāj-e-havā jāntā hai