Nazar Kanpuri

kabhi KHushi kabhi gham ke payam aate hain

Nazar Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1948
kabhī ḳhushī kabhī ġham ke payām aate haiñ
kisī ke ishq meñ kyā kyā maqām aate haiñ
hamāre piine kā andāz bhī nirālā hai
hamāre vāste āñkhoñ se jaam aate haiñ
jise bhulā.e hue ek umr biit ga.ī
usī ke aaj bhī mujh ko salām aate haiñ
kisī kī yaad ke lamhe hamāre dil kī taraf
ibādatoñ ke liye sub.h-o-shām aate haiñ
añdherā chhāyā to saa.e ne saath chhoḌ diyā
sunā hai vaqt pe apne hī kaam aate haiñ
jo rañg ubharte haiñ ulfat kī dāstāñ meñ 'nazar'
faqat unhīñ ke misāloñ meñ naam aate haiñ
Top Urdushayar.com