Nazar Kanpuri

meri laghzishon pe nazar na kar mujhe rahmaton se nawaz de

Nazar Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1948
mirī laġhzishoñ pe nazar na kar mujhe rahmatoñ se navāz de
baḌā hogā mujh pe tirā karam tū mohabbatoñ se navāz de
tire ishq meñ bhī mazā mile tire hijr meñ bhī mazā mile
rahūñ ġham meñ tere jo mubtalā unhīñ chāhatoñ se navāz de
tū banā le apnā mujhe agar mujhe faḳhr hogā nasīb par
mirā naam hogā jahān meñ mujhe shohratoñ se navāz de
nahīñ koī dil meñ tire sivā tū mirā sanam hai mirā ḳhudā
mire dil ko jis se jilā mile unheñ nisbatoñ se navāz de
phirūñ kū-ba-kū yahāñ dar-ba-dar tire naqsh-e-pā pe mirī nazar
tū bulā kar apne qarīb-tar mujhe qurbatoñ se navāz de
Top Urdushayar.com