har ek lamha-e-ġham bahr-e-be-karāñ kī tarah
kisī kā dhyān hai aise meñ bādbāñ kī tarah
nasīm-e-sub.h ye kahtī hai kitnī hasrat se
koī to baaġh meñ mil jaa.e bāġhbāñ kī tarah
hai vo tapish tire palkoñ ke shāmiyāne meñ
ki ab to dhuup bhī lagtī hai sā.ebāñ kī tarah
har ek moḌ pe milte haiñ ham-ḳhayāl magar
kahīñ to koī mile mujh ko ham-zabāñ kī tarah
fareb-e-chashm hai yaaro ki ik haqīqat hai
samāñ jo shahr kā hai shahr ke samāñ kī tarah
havā-e-zīst ko aanā hai jab tak aa.egī
bahār ban ke kabhī to kabhī ḳhizāñ kī tarah
har ek lafz nikaltā hai misl-e-tīr-e-navā
zabān-e-yār hai 'arshad' kisī kamāñ kī tarah