kabhī jo us kī tamannā zarā biphar jaa.e
nasha phir us kī anā kā utar utar jaa.e
charāġh-e-shab meñ to jalne kā hausla hī nahīñ
vo chāhtā hai ki tohmat havā ke sar jaa.e
zamīñ pe ġhalba-e-shaitāñ falak barā-e-malak
bashar ġharīb pareshāñ ki vo kidhar jaa.e
mirī hayāt kā sūraj hai sū-e-ġharb magar
muhāl hai ki mirā zauq-o-shauq mar jaa.e
charāġh-e-zehn jo raushan nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo taare toḌ ke laa.e ki chāñd par jaa.e