Arshad Kamal

ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
ik lafz aa gayā thā jo merī zabān par
chhāyā rahā na jaane vo kis kis ke dhyān par
mujh ko talāsh karte ho auroñ ke darmiyāñ
hairān ho rahā huuñ tumhāre gumān par
mahfil meñ dostoñ kī vahī naġhma ban gayā
shab-ḳhūn kā jo shor thā mere makān par
be-shak zamīñ hanūz hai apne madār meñ
lekin dimāġh us kā to hai āsmān par
shāyad mirī talāsh meñ utrī hai charḳh se
jo dhuup paḌ rahī hai mire sā.ebān par
rahtā hai be-niyāz jo aab o sarāb se
khultā hai rāz-e-dasht usī sārbān par
ehsās us kā jāma-e-iz.hār māñge hai
uftād aa paḌī hai ye 'arshad' kī jaan par
Top Urdushayar.com